Doha
Shri Raviharat Aa Horat Tame,
Aganit Kiran Pasari,
Vandan Karu Tan Charan Mein,
Argh Devu Jal Dhari,
Sakal Shristi Ke Swami Ho,
Sachrachar Ke Nath,
Nisdin Hot He Tumse Hi,
Hovat Sandhya Prabhat.
Chaupaai
Jai Bhagwan Surya Tamhari,
Jai Khagesh Dinkar Subhkari,
Tum Ho Shristi Ke Netra Swaroopa,
Trigun Dhari Trai Ved Swaroopa.
Tum Hi Karta Palak Sanharak,
Bhuvan Chaturdash Ke Sanchalak,
Sundar Vadan Chaturbhuj Dhari,
Rashmi Rathi Tum Gagan Vihari,
Chakra Shankh Aru Swet Kamaldhar,
Varmudra Sohat Chothekar,
Shish Mukat Kundal Gal Mala,
Charu Tilak Tav Bhal Vishala.
Shakht Ashwa Rat Drut Gami,
Arun Sarathi Gati Avirami,
Rakht Varan Abhusan Dharak,
Atipriya Tohe Lal Padarath,
Sarvatama Kahe Tumhi Rigveda,
Metra Kahe Tum Ko Sab Veda,
Panch Dev Mein Pooje Jate,
Man Vanchit Phal Sadhak Pate
Dwadash Naam Jaap Aaudharak,
Rog Shok Aru Kasth Nivarak,
Maa Kunti Tav Dhyan Lagayo,
Danveer Sut Karan So Payo,
Raja Yudhisthir Tav Jas Gayo,
Akshay Patra Vo Ban Mein Payo,
Shastra Tyag Arjun Akurayo,
Ban Aditya Hriday Se Payo.
Vindyachal Tab Marg Mein Aayo,
Haha Kar Timir Se Chayo,
Muni Agastya Giri Garv Mitayo,
Nijtak Ban Se Vindhya Na Vayo,
Muni Agastay Tav Mahima Gayi,
Sumir Bhaye Vijayi Raghurai,
Tohe Virok Madhur Phal Jana,
Mukh Mein Linhi Tohe Hanumana.
Tav Nandan Shanidev Kahave,
Pavan Te Sut Shani Tir Mitave,
Yagna Vrat Stuti Tumhari Kinhi,
Bhet Shukla Yagurved Ki Dinhi,
Suryamukhi Khari Tar Tav Roopa,
Krishna Sudarshan Bhanu Swaroopa,
Naman Tohe Omkar Swaroopa,
Naman Aatma Aru Kaal Swaroopa.
Dig-digant Tav Tej Prakashe,
Ujjwal Roop Tumahi Aakashe,
Das Digpal Karat Tav Sumiran,
Aanjan Netra Karat He Sumiran,
Trividh Taap Harta Tum Bhagwan,
Gyan Jyoti Karta Tum Bhagwan,
Safal Banave Tav Aaradhan,
Gayatri Jaap Sarh He Sadhan,
Sandhya Trikal Karat Jo Koi,
Pave Kripa Sada Tav Wohi,
Chitt Shanti Suryashtak Deve,
Vyadhi Upadhi Sab Har Leve,
Aasthdal Kamal Yantra Subhkari,
Pooja Upasan Tav Sukhkari,
Magh Maas Suddh Saptami Pavan,
Aarambh Ho Tav Subh Vrat Palan.
Bhanu Saptami Mangal Kari,
Bhakti Dayini Doshan Hari,
Ravi Vasar Jo Tum Ko Dhyave,
Putradik Sukh Vaibhav Pave,
Paap Roopi Parvat Ke Vinashi,
Vajr Roop Tum Ho Avinashi,
Rahu Aan Tav Gras Banave,
Grahan Surya Tab Ko Lag Jaye.
Dharm Dan Tap Karat Hai Sadhak,
Mitat Rahu Tab Pida Badhak,
Surya Dev Tab Kripa Kije,
Dirgha Aayu Bal Buddhi Deje,
Surya Upasana Kar Nit Dhyave,
Kusth Rog Se Mukti Pave,
Dakshin Disha Tori Gati Gyave,
Dakshinayan Wohi Kehlave.
Uttar Margi To Uru Rath Hove,
Utrayan Tab Wo Kehlave,
Man Aru Vachan Karm Ho Pavan,
Sanyam Karat Bhale Nit Aardhan.
Doha
Bharat Das Chintan Karat,
Dhar Din Kar Tav Dhyan,
Rakhiyo Kripa Is Bhakt Pe,
Tumhari Surya Bhagwan.